Haath kee lakeeron ne kaha mujhse main tujhey batata hoon kahan teree raah hai....kahan tera nishaana aur kya teree chaah hai...zyada aankhey duur tak na faila...kar wohee jo tere bas mei hai...main tujhey batata hoon tera vajoot kya hai...aage dekhega toh paas ko bhool jayega..raah mei pade kankar se ja takrayega...na...zar rakh kadmon pe aur tuu chaltaa jayega... kar mujhpe bharosa tu aage badhtaa jayegaa...
Haath kee lakeeron se maine kaha..tujhey banaya bhee maine hai..or meree mutthhee mein tu hai..ungliyan mod loon agar tujhey zameen hai dikhtee ungliyan chodh doo agar asman bhee choo payega...hai mujhey khud pe bharosa main chalta chala jaunga..raah ke kankad se zaroor ladkhadaunga par in hathon se sambhal jaunga..d...uur pe hogee nazar par paas ko saath le jaunga..aage badhta chala jaunga..khud kee lakeeren banaunga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment